Saturday, December 25, 2010

Mery Dil K GhamgiiN Station Pr

Mery Dil Ke GhamgiiN Station Pr
Chahat Ki Railgaari Chalti Hai...

Dosti Ki Tickets to Milti Nahi...
Bewafaai Ki Booking Jaari Hai..


More Poetry SMS

HuMM Bhi Kitne Dewany Nikle

HuMM Bhi Kitney Dewany Nikly
Diye Sy AndhEraa Mitany Nikly

Gham.E.Dil Pe Jo Hmary Hnsa Krty Han
HuMM Un Ko He HaL.E.DiL Sunany Nikly


More Poetry SMS

H0NT00N Pe SAAhiL00N Kii TrhaN TishNagI RhI...

HoNT00n Pe SAAhil00N Kii TrhaN TishNegI RhI
Maen Chupp Hua To Merii AnAA ChekhTii RhI

Eik NaM Kiya Lekha TeRaa SAAhiL Ki Ret Pr
Phr Umr Bhr HaVa Se Merii DushMaNI RhI

SerkooN Pe SarrD RaaT RhI Merii HmSafaR
AAnKh00N Me Merey SaaTh ThakaN JagTi RhI

YaaDuuN Se KheLTi RhI TnHaaI RaaT BhaR
KhuShBuu Key IntazAAr Mein ShaB BheeGtii RhI

Wo LFZ LFZ Mj Pe UtrTa Rahaa SAhiLL
SoChooN Pe Uss K Nam Ki TkhTi Lgi RhI...


More Poetry SMS

Takliif Kbi Jo Ho Mjy Sochny Sy Tm Ko.....!

TakLiiF Kbi Jo Ho Mjy Sochny Sy Tm Ko....!
Lmha Bi Na LgaaNa Mjy Bh0ooL Jana Tm...


More Sad Shair

Friday, December 17, 2010

Baaton Baaton Me Tera Zikar Ho Jata Hei

Baaton Baaton Me Tera Zikar Ho Jata Hei
Ye Dil AansuoN Ki Nazar Ho Jata Hei...

Jb Bi Aram Ka Sochtaa Huun Main
Shuroo Teri Yaadon Ka Safar Ho Jata Hei..


More Poetry SMS

Ab DiL Ko SmbhaLein Ke Gham E DiL Ko Smbhalein

Ab DiL Ko SmbhaLen Ke Ghm e DiL Ko SmbhaLen
Furrsat NahiN Itni Bhi Ke Do Ashk Hi Bahaa Len...

BeTaab Hu Tum Bhi To Judaai Me Kisee Ki
Mumkin Hu Tu Aajao Shab e Hijar Mana Len...

Tum Or Karo Zulf E Pareshaan Ko Pareshaan
Hm Bhi DiL e BeTaab Ku Diwaana Bana Len...

Bethy Han Is Andaaz Se Mae Kash Sar-e-MehfiL
Saaki Ka Isharaa Hu Tu Saghar Ku UchaLein...

Aey Ahl e Junu'N Aao K Veeraa'N Han Shab o Roz
Ujri Hui Mehfil Ko Pher Eik Baar Jamaa Lein...


More Poetry SMS

Maen Or Us Ko Bhulaa Duu

Maen Or Us Ko Bhulaa Duu
Kesi Baatain Krty Ho Faraz

Soorat to Phr Soorat Hai
Wo Nam Bi Piara Lagta Hai


More Poetry SMS

Wafaon Ke Wadey

Wafaon Ke Wadey, Mohabat Ki Qasmyn
Dam e Wapsi Tk Nibhaaney Ki Baatein

Karo Umr Bhr Sath Chalnay Ka Waada
Karo Aashyaana Banany Ki Baatein

Faqat Dil Ki DaulaT Hai Darkar Tm Sey
Kahan Hm Ne Ki Hain Khazany Ki Baatein

Humy Kab Yaqeen Tha Ke Tm Hi Kro Gy
Hara Kr Humy Jeet Janay Kii Baatein


More Poetry SMS

UdaasiyaaN To Mery Ehed Ki Alaamat Han

UdaasiyaaN To Mery Ehed Ki Alaamat Han
Mayn Hans Para To Boht Peeche Lot Jau Ga


More Sad Shair

Monday, December 13, 2010

Teri Bhejee Hui Tehriroon Ka Kbhi Doonga Tujhe Jawab

Teri Bhejee Hui Tehriroon Ka Kbhi Doonga Tujhe Jawab

Bus Ksi Apny Ki Di Hui Thoker Sy Sanbhal Jaaoon Zara...


More Sad Shair

Mujhko Shekast-E-DiL Ka Mazza Yaad Aa Gya

Mujhko Shekast-E-DiL Ka Mazza Yaad Aa Gya
Tum Q Udaas Ho Gaye? Kyaa Yaad Aa Gya...

Kahney Ko Zindgi Thi Bohot Mukhtaser Magar
Kch YuuN BasaR Hui K Khudaa Yaad Aa Gya...

Barsy Bghair Hee Ghataa Aagy Nikl Gayi
Eik Be-Wafa Ka Ahd-E-Wafa Yaad Aa Gya...

YuuN Chounk Uthey Wo Yeh Sun Kr Mera ShikVaa
Jesy Unhey Bhi Koii Gilaa Yaad Aa Gya...

Hairat Hai Tujh Ko Dekh Kr Masjid Mei Aey Ghalib!
Kyaa Baat Ho Gayi Jo Khudaa Yaad Aa Gya...

Ghalib


More Sad Ghazals

Saturday, December 11, 2010

Yeh LehJaa, Yeh Adavat

Yeh LehJaa, Yeh Adavat
Yeh Tarz-e-Muhabbat
Tmhara...

Samajh Paauu t0 Bikhar Jaauu
Na Samajh Paauu t0
Ulejh Jaauu...!


More Poetry SMS

Ye Chahatein Ye RonakeiN

Ye ChahateiN Ye RonakeiN
Paaband Han Mery Jeeny Tk

BiNa RuuH K Nhi Rkhty
Ghar Waly Bhi Jism Ko


More Poetry SMS

Hum Dekhty Hain Usy

Hum Dekhty Hain Usy
Jo Naa Dekhy Humain

Hum Chahty Hain Usy
Jo Naa Chahy Humain

Ajeeb Aadatain Hain Hmari

Hum Yaad Rakhty Hain Usy
Jo BhooL Jaty Hain Humain


More Poetry SMS

Sunday, December 5, 2010

Maherbaani Na Sahi

Maherbaani Na Sahi Eik Zakhm He Dedo GhayaL!!!

Mehsoos To Ho Ke Koi Humein Bhoolaa NahiN...


More Sad Shair

Maherbaani Na Sahi

Maherbaani Na Sahi Eik Zakhm He Dedo GhayaL!!!

Mehsoos To Ho Ke Koi Humein Bhoolaa NahiN...


More Sad Shair

Friday, December 3, 2010

Tery KhyaaL Mai Kch Aisy Gum Rahaa BarsooN

Tery KhyaaL Mai Kch Aisy Gum Rahaa BarsooN
Main Apny Aap Sy Bi Mil NahiN Saka BarsooN

KahiiN Vo Zaaiqa TehLiiL He Na Hu JAyee
Main Tum Sy Mil Kr Kisii Sy NahiN Mila BarsooN

Kaha Thaa Tum Ny Ke Tum Laut K Aaoge Eik DiN
So Main Jahaan Thaa WahiN Pr Khara Rha BarsooN

Tery BaghaiR Mri Umr RaayegaaN Guzree
Koi Bi Kaam NahiN Theek Sy Hua BarsooN

Tumhary Haath Ki Dastak Ki Aass Main MOHSIN
Main Apny Ghar Sy KahiN Bi NahiN Gya BarsooN.....!

Mohsin Naqvi


More Sad Ghazals

Sunday, November 28, 2010

Aankh Nm Kar Gayaa

Aankh Nm Kr Gayaa Bichhray Hvay Logoon Ka KhayaaL

Dard_E_DiL Dey Ke Humein Duub Gayaa Eid Ka Chaan|)


Click here for more Eid Poetry SMS

Thursday, November 18, 2010

Baaki Tum Pe Choorr Diya!!!

Eik Ghazal Bila Unwaan Likhii
Aor Baaki Tum Pe Choorr Diya...

Mai ne Takmeel e Chahat Ki
Aor Baaki Tum Pe Choorr Diya...

Teray Dil Me Jagaa Karney Ko
Kb Asaan Jaana Thaa...

Mai ne Khwahish Puri Ki

Aor Baaki Tum Pe Choorr Diya...

Hijar Ka Mousam Gr Samjho To
Eik S0Z e Qayamat hota hai...

Tanhaai Thi Jo Saath Rahi...

Aor Baaki Tum Pe Choorr Diya...

Jazzbat K Railay Me Aansoo Behnaa
Maana Qadray Asaan Thaa...

Mai Ne Khudd Ko Himmat Dii

Aor Baaki Tum Pe Choorr Diya...


More Sad Ghazals

Monday, October 25, 2010

Zindagi Dasht E Wafa


Suno Zindagi Tum Dasht Thee
Meri Wafa Ne Tum KoPhooL Kar Diya


Ye Mazaq Hai Meri Zaat Sey

Ye mazaq hy meri zat sy,
Ya Riwaj hy tery shehr ka?

Kbi is taraf kbi us taraf,
Ka mizaj hy tery shehr ka?

Yahan nafrtein brri aam hain,
Yahan chahton ki qadar nhi,

Wo jo khon tha mere jism mein,
Wo anaaj hy tere shehr ka,

Nhi hud yahan kisi zulm ki, 
Na he paas hy kisi rabt ka,

Wo jo haal tha yahan kal talak,
Wohi aaj hy tere shehr ka,

Yahan kaatna kisi or ko, 
Han bahaduri ki alaamatein

Wo jo jangalon mein bhi tha kabhi,
Wohi raaj hy tere shehr ka...


More Sad Ghazals

Saturday, October 23, 2010

Teray Herf O Lb Ka Talism Thaa!!!

Teray Herf_o_Lb Ka Talism Thaa
Mri Aab_o_Tab Mein Rah Gya

V0 Ksi Gulab Ka Jisim Thaa
J0 Mri Kitab Mein Rah Gya

Mri BAAt BAAt Mein Roshnii
Meray Herf Herf Mein Dil-kashi

Tu Mra Sharik_E_Wisal_E_Jaan
Mri Hr Kitab Mein Rah Gya

Koi PhUUL Khil Kr Bikher Gya
Koi BAAt Bn K Bigarr Gya

Na Sawaal Koi Laboon Pe Hy
Na Gilaa Jawaab Mein Rah Gya

Tujhy Kia Bataaen K KIa Huaa
V0 Suroor_E_Raqs_Wafaa Gya

Na Gunnah Me Rhi Bat V0
Na Maza Sawab Mein Rah Gya

Dil Khush-Gumaan Tri Kheir Ho
Tu Hy Phir Yaqiin K! Saliib Pr

Tujhy Phir Ksi Se Shikayatein
Tuu Isi Azaab Mein Rah Gya

Tujhy Kyaa Mila Dil-E-Mubtala
Na Koii Duaa Na Kahiin Wafaa..

Mgar Ik Arsa_E_RaaigaaN!!
Jo Teray Hisaab Mein Rah Gya!!

V0 J0 Meraa Eehd_E_Jamal Thaa
V0 J0 Meraa Sheher_E_Khayaal Thaa

Ke Ab Us Ka Zikr_E_Kamaal Bhi
Kahiin Herf_E_Khwab Mei Rah Gya!!!


More Sad Ghazals

Saturday, October 16, 2010

Aankhon Me Sama Jatey!!!

Aankhon Me Samaa Jaty, Ya Dil Me Uter Jaty
Don0 Ka BhaLaa Hota Don0 Hi Sawar Jaty

Miltay T0 Yeh Achaa Thaa, Jeewan Ki Musafat Me
Kch Faasley Km Hote, Kch Rooz Guzr Jaty

Doorii Bi Ghaneemt He, Ek Aass To He Wrna
J0 Aass Pe Jeitay Han, Wo Loog Kidhr Jaty

Kch Rooz Judaai K Iss Haal Mei Bi Guzrey
Hastey Huey R0 Dety, Rotey Hue Gir Jaty

ManziiL Na Thikaanaa He Achaa Hai Nhi Kch Bi
Rukty To Kidhr Jaty, Jaty To KahaN Jaty


More Sad Ghazals

Apney Kaam Pey Dehaan d0

Apney Kaam Pey Dehaan D0,
Mt Pernaa In IshQ k Khayal0n Me..

Kant00n K Raste Pr Chaltaiy Han,
Jo PhooL Rakhtey Han Kitaab0n Me...


More: Poetry SMS

Wednesday, October 13, 2010

Kehtey Han ISHQ Naam K Guzrey Han Ek Buzurrg

Kehtey Han ISHQ Naam K Guzrey Han Ek Buzurrg

Hum Loog Bhi Mureed Usii Silsilay K Han...


Posted in: Poetry SMS

Maen MukammeL Ho ChuKaa H00n

MuHabbaT,
Hijr,
NafraT.. Sub Mil Chukey Han Mujhey

Maen Ab Takreebn MukammeL Ho
ChuKaa H00n...


More Sad Verses

HaaN - Mujhay Rasm_E_Muhabbat Ka Saliqa He Nhi MohsiN

HaaN!!!

Mujhay Rasm_E_Muhabbat Ka Saliqa He Nhi MohsiN....

Jaa Kisii Aor Ka Hone Ki Ijaazat He Tujhay.........


More Sad Verses

Maam00L Bn Gayaa He Meraa Raaton Ko JaagnA

Maam00L Bn Gayaa He Meraa Raaton Ko JaagnA
                               GhayaL!!!

Neendein Merey Wajood Kii Koi Shax Ley Gaya...


More Sad Verses

Friday, October 8, 2010

Mansoob The Jo Logg Meri Zindagi Kay Saath - Aksar Wohi Milay Han Barri Be Rukhi Kay Saath

Mujh ko ghazab ka piyar hai  is dushmani k sath

Mansoob They Jo Loog Mri Zindagi ke Sath

Mansoob they jo loog mri zindagi ke sath
Aksar wohi mily han barri be-rukhi ke sath

Yuun to mai hans para hun tmharee lye mgar
Ktne sitary tuut pary ek hasi k sath

Fursat mily t0 apnaa garibaaN bi deekh ly
Ay dost yuun na khel mri bebassi ke sath

Majboorion kii baat chli hae to mae kahaan
Hm ne piya hae zher b aksar khushii ke sath

MohsiN karam b ho or jis me khuluus bhi
Muj ko ghazab ka piyar hae is dushmani k sath


More Ghazals

Thursday, October 7, 2010

Na Zamiin Hai Mri Qarar Gaah

Na zamiin hai mri qarar gaah,
Na falak he Mnzil_e_Jzb_DiLL...

Barri deir se hai safar mra,
TerI YAD se TerI YAD tek...!!!!


More Sad Verses

Bikhri Hui Kitab

Mujhe Parho to Zara Ehtiyaat Se Perhnaa
Khd Apni Zaat Mai Bikhri Hui Kitab Hu Main


More Sad Shairs

Is Tarah Ghor Se.....

Is tarah ghor se met dekh merey haath 
   FARAZ

In lakiroon mai hasraton k siwa kuch b nahi



Sunday, October 3, 2010

UDaaS Tehrir ParrH K Meri...

UDaaS Tehrir ParrH K Meri
Merey Sanam Muskura Na DeNaa...

Ye AkhRii Khat Mae Likh Rha Hn
Khayaal KrNa Jalaa Na DeNaa...

GuZaar Rhi Hae Tmhaarii Kese
BicHaar K Hm SeY RuLa K Hm Ko...

Haqiqat00 Ko Zruur LikhNaa
Anaa Ki Khatirr Chupa Na DeNaa...

K0ii J0 PucheeY Kidhar GaYaa Voo
J0 Trii MehfiLL kA Thaa SahaRaa...

J0 FurqaTooN K Sabab BneY Thy
Kisi Bashr K0 BatA Naa DeNaa...

Mae Marr Bhi JaauuN to MuskuraNaa
Ehsaas_E_GhaM Ki Na ChooT KhaNaa...

Jo Qurb_E_GhaM SeY NigaaHen BheeGen
To Rukh Se AanchaL Hata Na DeNaa...

LaHuu Se Tehrir Kr Rha HuuN
Mae ApNi DaastaN_E_ZindaGaaNii...

J0 PhaaR Bi Daal0 To Paas RaKhNaa
HaWaa Mein TukRey Urraa Na DeNaa...


More Urdu Ghazal

B0hT SamjaTa HuuN DiL K0

B0hT SamjaTa HuuN D!L k0...
ShaBooN k0 JaaG K AksaR...

MohabbaT KaUN KarTa Hae...
MohabbaT Kis k0 HoTi Hae...

SAbhii Apni ZaruuRat Ko...
MohabbaT Naam Dete Haen...


More About Traitor Friends

MilNay Kii GhaRzz Ho to ChalaY AateY Han...

MilNay Kii GhaRzz Ho to ChalaY Aatey Han
ApN0 Kii Tarhaa...

DiL Bharr Jaaey to Jawab DeNaa Bhii
Gawaraa Nhi KarteY...



More Bewafa Dost Poetry

Ye KaaM MumkIIn NahiN GairoN Kii Talwar Se

Ye KaaM MumkIIn NahiN GairoN Kii Talwar Se
DiL Pey ZakhMM LagteY Haen ApNoo K Waar Se


More Sad Verses

Tm K0 jB B0jH lgey SaaTh t0 Bata DeNaa

     ~~~ Tm K0 jB B0jH lgey SaaTh t0 Bata DeNaa~~~

~~~ Mae Bhii Chup Chaap M0habaT Se Mukarr Jaunga~~~


More Sad Poetry

Kabhii Kitab00n Mein PhuUL Rakhnaa

Kabhii Kitab00n Mein PhuUL Rakhnaa,
Kabhii Darakht00n Pe Naam LikhNaa...

Humein Bhi YaaD He Aj tK,
Voo Nazar seY Harf_E_Salam LikhNaa...

Voo Chaand Chehrey Voo Behki Baatein,
Sulagteyy Din TheY Mehekti Raatein...

Voo Chh0te Chh0te Se Kaghaz0on Pr,
M0hobat0n K Payaam LikhNaa...

Gulaab Chehr0 Se DiL Laganaa,
Voo ChupkE ChupkE Nazar Milanaa...

Voo Arzu00N K Khwaab BunNa,
Voo Qissa_E_Na'Tamam LikhNaa...

MereY NaGar Kii HaseeN Fizaa00n,
Kahiin Jo Un Ka Nishaan Paa0...

To PuUchNaa Voo Kahan Basey Han,
0R Kahan He Un Ka QayaAm LikhNaa...


More Miss U Poetry

Hony They Jitney KhEL Muqaddarr K Ho Gaey

Hony They JitneY KhEL MuqaDDar K Ho Gaey
Hum Tooti Kashti Le K SamaNdarr K Ho Gaey

KhushBuu Hamarey Haath Ko ChhuU Kr Gzar Gaii
Hm PhuUL Sb Ko Baant K Pathhar K Ho Gaey...


Click here for more Sad Poetry

Sunday, September 26, 2010

Ab Hijr Ki Koi Raat Nahi


Kb Yaad Mei Tera Saath Nahi,
Kb Haath Mei Tera Haath Nahi,
Sud Shukar K Apni Raaton Mei,
AB HIJR KI KOI RAAT NAHI.


Friday, September 24, 2010

Suna Tha Dost Wafa Karte Han - Bewafa Dost

Suna Thaa Dost Wafa Karte Han Ghayal,,,
Jub Hum ne Bharosa Kia To Rivayat Badal Gai..


Posted in: Bewafa Poetry

Matlabi Dunya Ko Bayan Karna - Bewafa Dost

Matlabi Dunya Ko Bayan Karna
In Jazbaat Ki Tauheen Hai...

Dil Par Ashk Hai Zaya Karna
K Ye to Dard Ka Shauqeen Hai...


More Bewafa Poetry

~~~ Phir Se Niklun Ga ~~~

             ~~~ Phir Se Niklun Ga ~~~
            ~~~Talash e Zindagi Mei~~~

              ~~~Dua He Is Bar Koi~~~
               ~~~Bewafa Na Miley~~~


More Verses and Poems about Traitor Friends

Gumaan Na Kar Muje Jurrat e Sawal Nhi

Gumaan Na Kar Muje Jurrat e Sawal
                 ..........Nahi..........

Faqat Darr Itna Hai Tuje Lajawab Na
                 ........Karduun........


More Bewafa Poetry

Hum Sa Ahl_E_Dil...

Hum Saa Ahl_E_Dil Tujhe Kahan Mile Ga
                       "..._Ghalib_..."

Jo Terey Sitam Bhi Sahay Or Tujhay Dua Bhi Dey


More Sad Verses

Faasley To Barha Rahay Ho Magar...

Faasley To Barha Rahay Ho Magar Itna Zehen Mei Rakhna
                              "S A N A M"

Mohabbat Baar Baar Insaan Par Meherbaan Nhi Hua Karti...


More Sad Poetry

Insaan Ki Parakh Me Hai Bhool Ka Andesha!!!

Insaan Ki Parakh Mein Hai Bhool Ka Andaisha
Apnon Ko Ujlat Mein Apna Na Kahaa Jaaey

Daiti Hai Qateel Aksar Chahroon Ki Chamak Dhokaa
Har Kaanch Ke Tukrey Ko Heera Na Kaha Jaaey


Click Here For More Poetry About Traitor Friends

Jo Dil Me Baat Hoti Hai

Jo Dil Me Baat Hoti Hai w0hi Ankhen Batati Han...
Koi Bi Baat Ho Dil Me Chupa Kr Kuch Nhi Milta...

More: Poetry SMS

Wahan Tak Na Le Jaey Teri Anaa Tujh Ko

Wahan Tak Na Le Jaey Tujh Ko Teri Anaa 'GhayaL'
Jahan Ja Kar Muqaddar K Sitaray Toot Jatay Han...


More Poetry SMS

Likh Dena Ye Misra

Likh Dena Ye Misra Merey Sang_e_Lehad Pr...
K Mout Achi Hy Magar Dil Ka Lagana Nhi Acha...


More Sad Poetry

Sunday, September 19, 2010

Ajeeb Udassi Hai

Ajeeb udaasi hai meray sheher ki khamoshiyon mei,
Lagtaa hai k kisi masoom ka dil totoa hai,
Di khabar hawaon ne mjhko sahib,
Mhbton ko aj bewafaon ne luta hai.


Sunday, September 12, 2010

Dar Badar Ki Saza Sey Dartey Hein

Dar badar ki saza sey dartey hein,
Khushk pattay hein hawa sey dartey hein.

Aandhion se kabhi mohabbat thi hamen,
Ab to Baad-e-Saba sey dartey hein.

Nafraton ne wo Lazzaten bakhsheen,
Chahaton ki zia sey dartey hein.

Apno k karam hein itney,
Zindagi ki dua sey dartey hein.


Tuesday, September 7, 2010

Tum Maangtey Phiro Gey Apnaa Ghuroor Hum Sey...

Kab tuk raho gay aakhir youn duur duur hum sey?
Milna paray ga tum ko ik din zaroor hum sey..
Daa'man bachanay walay ye bay'rukhi hai kesi?
Keh do agr hua hai koi qasoor hum sey..
Hum cheen lain gay tum say ye shan e bay'niazi,
Tum maangtey phiro gey apnaa ghuroor hum sey...


Sunday, September 5, 2010

"HAM PAGAL SE HO JATEY HAIN"

"HAM PAGAL SE HO JATEY HAIN"

Jb dukh ki jahnjer bajti hai,
Jb yad ki nagan dasti hai,
Jb shokh hawa k chalne se,
Ek aag c man mai lagti hai,
Jb taarey hm pr hanstey hain,
Jb khusbo batain krti hai,
Jb din ki jan nikalti he,
Ek sham diyoon mai dhalti hai,
TAB aese mai tab aese mai,
Hm bekal se ho jate hain,
HAM pagal se ho jate hain,
KUCH LOG BOHT YAD AATY HAIN..
Kuch log boht yad aaty hain...!!



Tere Ikhlas Se Muhabbat Ki Hai

Tere ikhlas se muhbt ki hai,
Tere ehsas se muhbt ki hai,

Tu mere pas nhi hai phir bhi,
Teri yad se muhbt ki hai,

Kabi to tu ne b mje yad kya hoga,
Me ne un lamhat se mhbt ki hai,

Jin mai hun teri meri batain,
Main ne un auqat se mhbt ki hai,

Or mehky hon sirf teri mhbt se,
Main ne un jazbat se mhbt ki hai,

Tjh se milna to ab khawab sa lagta hai,
Main ne tere intezar se mhbt ki hai...




Thursday, September 2, 2010

Wo Log He Qadmoon Se Zamin Cheen Rahy Han

Wo log he qadmoon se zamin cheen rahy han
JO log mrey qadd ke baraber nahi aaty

Ek 'Tum' ke tmhary lye mai' bi mri jaan bi
Ek mai' k mjhe tum bi muyassir nahi aaty

Jis shan se lauty han ganwaa kar dil o jaan hum
Is taur to haarey huwe laskhar bi nahi aaty

Koi to khabar ley mrey dushman e jaan ki
Kuch din se mrey sehen mei pathar nahi aaty

Dil bi koi aaseb ki nagri hy k 'MOHSIN'
Jo is se nikal jatey han murr kr nahi aaty...


Click here for more Sad Poetry

JANEY DEY


Apnii aankhon k samander mein uter janey dey
Tera mujrim hon muje doob k mar janey dey
A naye dost mein smjhon ga tuje bhi apna,
Pehlay maazi ka koi zakhm to bhar janey dey
Aag dunya ki lagai hoi bujh jaegi,
Koi ansoo meray daman pe bikhar janey dey,
Zakhm kitny teri chahat se miley hen mjh ko,
SoOchta hoon k kah00n tjh se mgar
"JANEY DEY"

R��t k P�Chley Pehar Se!!

R��t k P�Chley Pehar Se!!
Ko� jane kab Se J��g raha ha�..
Ankhe�n band ha� or Hath ha� Uper!!
Tu k�Ya jane Tujhay ko� Ra� Se Mang raha ha


Behter Hy Isey Ghar k Kisi Taaq Mai Rakh Do

Behter hy isey ghr k kisi taaq mai rakh do,
Toota hua dil le k kahan janey lagy ho,
Baahen to wo hayel han kisi or galey mai,
Tm churiyan jin k lye banwany chaly ho...


Aye Chand Suno Kuch Baat Karo

Aye Chand Suno Kuch Baat Karo,
Tri baat chaley mri raat katey,
Baat kro us basti ki,
Badal barish or masti ki,
Ya baat kro us bandhan ki,
Payal choori or kangn ki,
Ya baat karo un sapno ki,
Jinhey tum bhi socha karte ho,
Khuwabon me poja karte ho,
Ya hawa me urtey aanchal ki,
Jo jab lehraey kch yad dilaeye,
Tera chain churaeye teri neend uraeye,
Tum mjh se kaho kch baat karo,
Teri baat chaley meri raat katey.


Neend Aati Hai Mager...

Neend aati hai mager khuwab ab nahi aate,
Mujh se milne mere ahbaab nahi aate,
Ya un ki mohabat boht nayaab hai logo,
Ya mujh ko mohabat k aadaab nahi aate.


Wednesday, September 1, 2010

Kal Rat Bazm Mei Jo Mila Gul Badan Saa Thaa


Kal Rat Bazm Mei jo Mila Gul Badan Saa Thaa
Khushbu Sey Us ke Lafz Thy Chehraa Chaman Saa Thaa

Deikha Ussey To Bool Pary Us Ke Khad o Khal
Pucha Ussey To Chup Saa Raha, Kum Sukhan Saa Thaa

Tanhaiyon Kii Rutt Mei Bhi Lagtaa Thaa Mutma'in
W0h Shakhs Apnii Zaat Mei Ek Anjuman Saa Thaa

Soocha Ussey To Maen Kayee Rangoon mei Kho Gayaa
Alam Tamam Us Ke Haseen Pairhan Saa Thaa

Jo Shakh Shakh Thee wo Usi Ke Laboon Se Thii
Jo Phuul Khill Gaya Thaa Wo Usi Ke DeheN Saa Thaa

Wo Saadgi Pehen Ke Bhii Dil Mei Utar Gaya
Us Kii Har Ik Adaa Mei Ajab Bholpan Saa Thaa

Asaan Samaj Rahey The Ussey Sheher e Jaan Ke Loog
Mushkil Thaa Is Qadar Ke Mre Apney Fun Saa Thaa

Wo guftgoo thii us kii usi ke liye hii thii!
Kehney ko yun tu maen bhii shariik e sukhn saa thaa

Tarey thy chandni meiN Ke tohmat ke daagh thy
Mohsin kal aasmaan bhii merey kafaN saa thaa...

Mohsin Naqvi, a great urdu poet, endowed a very nice collection of sad and serious poetry to the readers. Read the last verse, how beautiful!!!



Click here for more Sad Poetry

Tuesday, August 31, 2010

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi

Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi
Ye Tri Tarha Mujh se To Sharrma Na Sake Gi


Maen Baat Karun ga To Ye Khaamosh Rahe Gi
Seeney Se Lagaa Longa To Ye Kchh Na Kahe Gi
Uljhii Hui Ratoon Ko Ye Suljhaa Na Sake Gi


Ye Aankhen Han Thehri Hoi Chanchal Wo Nigaahen
Ye Haath Han Sehmey Hoe Aur Mast Wo Baahen
Parchaai To Insan Ke Kaam Aa Na Sake Gi


In Hontoon Ko GhayaL Maen Kchh De Na Sakun ga
Is Zulf Ko Maen Hath Mei Bi Ley Na Sakun Ga
Aaram Wo Kiya De gi Jo Tarrpa Na Sake Gi


Tasvir Tri Dil Mra Behlaa Na Sake Gi


Click here for more Sad Poetry

Monday, August 30, 2010

Tri Chaah Me Tri Raah Me

Tri chaah me tri raah me, mre hosloon ka hunar gaya,
Thiin wo aandhiyaan tre sheher ki, mra ghar gaya mra dar gaya,

Tre sheher me ay bemehr, tre dostoon ka ye haal hae,
Koi chupkey chupkey sy jee uttha koi chupkey chupkey marr gaya.

g h a y a L


Main Hun Aur Meri Tanhaai Hai

Ph�r Taar0 Bhar� Rata�N Ha�N,
Ph�r Khushb00 K� Barata�N Ha�N,

Ph�r Shaam Ka Thanda Anchal Ha�,
Aur A�k Bhatakta Badal Ha�,

Ph�r SawaN T00t K Barsa Ha�,
Aur Ph�r D�L Itna Tarsa Ha�

Ph�r Dun�ya K Jhamel0 Ma�N
Ph�r Z�ndag� K Mel0N Ma�N

Ter� Yaad K� Shehna� Ha�
MAIN HUN AUR MERI TANHAAI HAI..


Tri Wafa, Wafa Jana Mri Mohabbat Kch B Nhi.?

Tri Wafa, Wafa Jana Mri Mohabbat Kch B Nhi.?
Tra Dard Dard Thehraa Mra Zkham Kch B Nhi.? 

Tmhari Baat Pathr Ki Lakeer, Mri Iltaja Kch B Nhi.?
Tujh Mein Anaa Samandar Jysi To Mra Maan Kch B Nhi.?

Tra Gham Gham Huaa Or Mry Aansuu Kch B Nhi.?
Tra Wajoud Sub Kuch Jana Kya Mri Hasti Kch B Nhi?


Mei Badduaa Tu Nhi De Rha Ussy

Mei badduaa tu nhi de rha ussy,
Mgar dua hy k ab koi us ko mjh sa na mily


Akhiri Ayyam Mei Saary Hisab Likhu Ga

Akhiri ayyam mei saary hisab likhu ga
Mae bhi eik din kitab-e-hyaat likhu ga

Kahiin khushii ka tazkaraa, kahiin dukhon ki dastaa'n
Kitab-e-ziist ke, saary hi baab likhu ga

Kis trha ham pe shabab aya tha
Kis trha dhal gya ye aftab, likhu ga

Tre hissy kii sarii taabeerain
Apny ujrry jo khwaab, likhu ga

Dil ke hr zkhm ko kureedu ga
Chahatoon ke azaab likhu ga

Tre faraq mei jo mehv-o-khyal guzrey haen
Wo ankhoo'n mei sajy saary sarab likhu ga

Jo baara'ha tshnagi barhatey rahey
Mousamon ke ataab likhu ga

Haqeeqato'n se mra waasta nahi Waris
Lagta hae saary wehm-o-khwab likhu ga....


Chaand ka Mizaj

Chaand ka mizaj bi tre jaisaa hy Faraz,
Jab tamanna dekhnay ki ho to nazar nhi ata. . . . . !


Sunday, August 29, 2010

Tu Ney Nafrat Sey Jo Dkha To Mjhe Yad Ayaa..

Tu ney nafrat sey jo dkha to mjhe yad ayaa..
Kitney rishtey mae teri khaatir yon hi tor ayaa..
Kitney dhundlay han ye chehrey jnhe apnayaa..
Kitnii ujli thi wo aankhen jnhe choor ayaa...


Main Ney Aasaboon Ko Pather Kaa Bana Rkha Hy

Main ney aasaboon ko pather kaa bana rkha hy,
Ek dil hy jo bantaa nhin pather jysa,
Ahl. e. dil, dil kii nazaket sey haen waqif warna,
Kaam lafzon se bhi lay saktey haen khanJar jysa,
Hum ghareboon ko kbhi raas na ayaa wurna,
Humne paaya tha mukaddar to sikander jysa...


Muqadder Ke Sitaroon Pr

Muqadder Ke Sitaroon Pr
Zamanay Ke Esharoon Pr,
Udaasi K Kinaroon Pr,
Kabi Viiran Shehroon Me,
Kabi Sunsaan Rahoon Pr,
Kabi Heraan Ankhoon Me,
Kabi Bejaan Lamhoon Pr,
Tmhari Yaad ChupKey Sey,
Koi Sargooshi Krti Hy,
Yey Palkain Bhiig Jaati Haen,
To Aansoo Toot Girtey Haen,
Hum Palkoon Ko Jhukatey Haen,
Bazaahir Muskuratey Haen,
Faqt Itna He Kehtey haen
Mujhy Ktna Satatey Ho,
Mujhy Tum Yaad Aatey Ho,
Mujhy Tum Yaad atey Ho. . . .
Mujhy Tum Yaad atey Ho. . . .


Ye Acha He K Hum Achey Nahi Haen,,,

Ye Acha He K Hum Achey Nahi Haen Faraz,,,
Koi dukhi na hogaa hamarey marney k baad...



Click here for more Sad Poetry

Teri Yadein Toot'te Huey Taaro Ki Lakeer

Teri yadein toot'te huey taaro ki lakeer
Tu bi koi toot'ta hua taara to ni ?

Jsney tje gham sehney ki tofeeq ni dee
Wo koi or shey hai mohabbat to ni...



Click here for more Sad Poetry

Barri Tabdiliyaan Laya Hun Apney Ap Me Lekn

Barri tabdiliyaan laya hun apney ap me lekn
Us ki yad me rhny ki adat ab bi baqi hai...


Click for more Sad Poetry

Faqat Khwabo Se He Nhi Milta Sukoon...

Faqat khwabo se he nhi milta sukoon sone ka Faraz,,,
Kisi kii yad me raat bhar jagne ka bi apna mazaa he...!!!



Click for more Sad Poetry

Tum Yad Aye..!!

Mere ghr k ujrry Aangan me koi phool khila 'Tum yad Aye.!
Tere shehr k basny walon me koi shakhs mila 'Tum yad Aye!

Wo kehta tha k bad mere Tm yad mjhy kr k rougy!
Sach poch,kisi ki ankhon se koi ashk gira 'Tum yad Aye!

Hr bar mai tjhko bholny ki khud se Qasmen khata hu!
Pr jab B kisi ne hans k mujhy apna kaha 'Tum yad Aye!

Din bhr to mai is dunya k Dhandon me hi khoya raha!
Din guzra or dewaron se jb dhoop dhali 'Tum yad Aye'.~

Missing You!


Raat Sunti Rahi Mein Sunata Raha!!!

Raat sunti rahi mein sunata Raha,
Dard ki dastaan main batata Raha,
Log,logon se chahat nibhaty rahay,
ek wo tha,mera dil jalata Raha,
Dhoop chaoon si uski tabiyat rahi,
Wo nigahein milata churata Raha,
Ik mei hi piyasa mere dosto,
Log pitay rahay mein pilata Raha,
Dil k mehman khanay mein Ronuq rahi,
Koi aata raha koi jata raha,
Hum-maktab ne sara sabak purh lia,
Mein tera nam likhta mitata raha. . . !
Rat sunti rahi main sunata raha. . .!


More Sad Poetry

Thursday, August 26, 2010

Aay Chaand

Eid Special

Aay Chaand
Jab Woh Teri Taraf Dekhein
To Unhein Kch Yaad Delaana
Madhur Se Kch Geet Sunanaa
Pher Chupke Se Un Ke Pass Jaana
Or Kahna!!!
Tumhein Koii Yaad Krta Hai.
Teri Arzoo, Teri Umeed Krta Hai
Koi Aajj Bhe
Tumhein Dekh Ker
EID kerta Hai.


Click here for Eid Ghazals

Baat Saqi Ki Naa Taali Jaegi

Eid Special

Baat saqi kii naa taali jaegi
Kar k touba torr dalii jaegi

Daikh lena wo naa khaalii jaegi
Aaah jo dil sey nikaali jaegi

Agar yahii tarz e fugaan hai Andli
Tu bi Gulshan se nikaali jaegi

Aatey aatey aayegaa unko khayal
Jaatey jaatey be-khayalii jaegi

Kyun nhi milti gale sey terey Naaz
Eid kyaa ab ke bhii khaali jaegi


Click here for Eid Ghazals

Baras Raha Hai Aber e Asmaan Merey Liye...

Baras raha ha aber e asmaan merey liye,
Sajadiya hai dard.e.do jahan merey liye...

Wo mustaqil mujhe chahne ka jurm kar na saka,
Kabhi kabhi to howa maherban merey liey...

Karey tufano mei b dubnai ni dayta,
Ajata hai koi darmiyan merey liye...

Mili hain bai shumar lazatain issi raah mai,
Safar ma horaha ha imtehan merey liye...

Tasaliyan to dai gaiey hain merey Dost mujhe,
Kahan se layen ge par meri jan merey liye...

Ye dil b khub ha is se hi hum kalam rahe,
Kare jo talgh se chahe bayan merey liye...

Issi liye to dhoop se hi dosti karli,
Na bun saka koi b saiban mare liye...

Nahi! Nahi! mujhe qasid yaqen nahi hota,
K horahe tha sanam pashaiman mere liye...

Meri qabar pe merey bad bus wafa likhna,
Yahi tha zindagi k unwan mere liye...

Main sub ko ek nigah se dekhta hon Faraz,
Hain ek faqeer-o-suleman mare lie...


Uska hans kr nazar ko jhuka lenaa...
"Sarii sharteyn qubool hon jaise...
"Kitnii dilkash hai uskii khamoshii...
"Saari batein fuzool hon jaise...


Wednesday, August 25, 2010

Tuesday, August 24, 2010

Sunday, August 22, 2010

Eik Chaand Tenha Khara Raha

Eik chaand tenha khara raha
Merey aasmaan se zara pary,

Merey saath saath saffar mei tha
Merii manzilloon sey zara pary,

Terii justujuu ke hisaar sey
Terey khwaab terey khayal sey,

Maii wo shakhs thaa jo khara raha
Terii chaahatoon sey zara pary,

Kabhii dil kii baat kahii na thii
Jo kahi to wo bhi dabee dabee,

Merey lafz poorey to they magar
Terii samaa'toon sey zara pary,

Tuu chalaa gaya merey ham.safar
Zara daykh murr ke to eik nazar,

Merii kashtiyaa han jalii huii
Terey saahiloo sey zara pary...


This poetry is considered to be one of the best sad poetry in urdu adab.


Click here for more sad poetry

Saturday, August 21, 2010

Tum Apney Khatt Me Yuun Lafzoon Ka Silsilaa Rakhnaa

Tum apney khatt me yuun lafzoon ka silsilaa rakhnaa
Har ik lafz ka mafhuum doosra rakhnaa.....

Tumharey lab kii mehek raaz faash kr dey gi
lifaafa bnd na kerna yuun he khula rakhnaa...

Na itna tuut ke miliiye ke dil pe shak guzrey
Khuloos mei bhii zaroori hei faasla rakhnaa.....

Mai zindagii mei kahi'n tum se mil he jaaunga
Magar yeh shart hei bichharney ka hauslaa rakhnaa...

Ye sooz o karb mujhey tajarboon ney bakhshey han
Jalanaa shamaa to daman se faasla rakhnaa........


One of my favorite sad poetry

Wednesday, August 18, 2010

Jo Khwaab Sajaey Ankhoon ne

Jo Khwaab Sajaey Ankhoon ne,
Wo khwaab ujarney waley han.

Humein Dil mey basaana thek nhi,
Hum loog ujarney waley han.

Wo chor gaya mujhe kanto'n par,
Phoolo k khiltey mousam mei.

Rabb khaer karey louta he nhi,
Abb pattey jharney waley han.

Woh jisey dekhney se,
Ankhoon mei thanduk rhti thi.

Ab duur gaya to aesa lga,
Hum jese pighalney waley han.

Jo Khwaahish dil mei thi merey,
Wo Khwaahish akhir tuut gayi.

Terey visal mei hum ko jeena tha,
Terey hijr mei marney waley han...


Kia kehney han..


Click here for more sad poetry

Sunday, August 15, 2010

HamDardiaan, Khuloos, Dilaasey, Tasalliaan...

HamDardiaan, khuloos, dilaasey, tasalliaan...
Dil tootney ke baad tamashey boht huey...


Click here for more Sad Poetry

Har Ik Lamha Mujhe Rehti He Taza Ik Shikayt


Har ik lamha mujhe rehti he taza ik shikayt
Kabhi tujh se, kabhi khud se, kabhi is zindagi se
Wo bekaifi ka alam he ke jee ye chahta he
Kahin rooposh ho jaun achanak khamoshi se...


Click here for more Sad Poetry

Bazm e Wafa Mein Hamari Ghareebi Na Pooch



Bazm e wafa mein hamari ghareebi na pooch "Ghalib"

Bus ek dard e dil tha, wo bhi kisi ka diya hua...


Click here for more Sad Poetry

Tuesday, July 27, 2010

ASAR HONAY TAK



Puch us qatray se ke lazzat-e-toofan kia he

Laakh toofanon se jo guzra gohar honay tak
Hum ne mana ke maqbool duaaen hon ge
Hum kahan hon ge duaaon ka asar honay tak ...


Click here for more Sad Poetry

Friday, July 23, 2010

ME MUQAIYAD HUN

Me muqaiyad hun ik aziat me
Or aziat bhi karb-e zaat ki he
Phr bhe chup chaap
Apnay ap me gum
Aati jati ruton ko dekhta hun
Kitnay mosam yun hi guzar ke bhe
Wohi aalam he heraton ka meri
Haan magar...
Gard-e- mah-o- saal ke beech
Baarha ik surat-e-shahkar
Pa ba-e- zanjeer mujh talak aayi
Or sargoshion me keh gai
Aalam-e-zaat se nikal ker dekh
Yahan her shay kisi azaab me he...


Click here for more Sad Poetry

JANUARY KI SHAM

January kitni shamen aaeen
Aa kar beet gaeen...

Dil ne koi aahat
Koi dastak mehsoos na ki...

Lekin itnay barson baad
Aaj ki sham me janay kia he...

Daaen aankh ka dayan kona
Bheeg gaya he...


Click here for more Sad Poetry

Kabhi Kabhi Koi Yad


Kabhi kabhi koi yad

koi boht purani yad...
dil ke darwazay per
aesay dastak deti he...
sham ko jesay taara niklay
subah ko jese phool..
jesay zameen per dheeray dheeray
roshnion ka nazool
jesay rotay rotay achanak hans de koi malool
kabhi kabhi koi yad, koi boht purani yad
dil ke darwazay per, aesay dastak deti he...


Click here for more Sad Poetry

BADALTE HUE MOSAM KI SADAEN


aati hen adalte hue mosam ki sadaen
deta he koi umr-e- guzashta ko sadaen
laut aye hen nikhre hue din, chandni raten
kis dais se ay dost! tujhe dhoond laen


me ye kehta hun, her rukh se basar ki zindagi
zindagi kehti he her pehlu adhoora reh gaya
sirf itni he muzaffar apni rudaad -e- hayat
me zamanay ko, zamana mujh ko takta reh gaya



Click here for more sad poetry

Friday, July 16, 2010

ABR-E- GUREZAN


tum abr-e- gurezan ho main sehra ki tarha hun
do boond jo barso ge bekar me barso ge
he khushk boht mitti her simt bagulay hen
sehra ke bagulon se uthtay he to sho'lay hen
tum khul ke agar barso sehra me gulistan ho
per tum se kahen kese tum abr-e- gurezan ho


jal thal jo agar kar do tan man me nami bhar do
he khushk boht mitti puri jo kami kar do
phir tum ko btaen ge ke rooh me pinhan ho
per tum se kahen kese tum abr-e- gurezan ho


Click here for more sad poetry

January Ki Sard Sham Me

january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen
un pairon se apne aur tumhare babt
wo baten puchne
jo tum meray sang chalte kehte thay
un lamhon me piroay khawab saray
azaab ban kar barse hen
belibaas dil he mera
aur bejaan wujood

january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen
laga kar galay un lamhon ko
aaj bhe rastay taktay hen
un raston per na ao gay kabhi
maaloom he hum ko bhe
magar is dil se maat hum
har bar he khatay hen
january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen

Mohabbat Jab Lahu Ban Kar Ragon Mey Sarsaraey To, Koi Boola Hua Chehra!!

mohabbat jab lahu ban kar
ragon me sarsaraey to
koi bhoola hua chehra
achanak yad aye to
qadam mushkil se uthtay hen
irada dagmagay to
koi maddham se lehjay me
tumhe wapis bulae to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he
kabhi tanhaion ka dard
aankhon me samaay to
koi lamha guzashta chahaton ka
jab sataey to
kisi ki yad me rona
tumhen bhe khoon rulaay to
agar tum se tumhara dill
achanak rooth jaey to
kabhi anhonion ka dar
parindon ko uraey to
hawa jab per se ik zard sa
patta giraey to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he


Click here for more sad poetry

AAO DOSTI KAR LEN


mustaqil is jahan me hum bhe nahin
mustaqil is jahan me tum bhe nahin
na musarrat he mustaqil he yahan
mustaqil is jahan me gham bhe nahin

phir adavat he kiun mustaqil ho
aao kuch is tarah na kar dekhen
in andheron me roshni kar len
aao dosti kar len , aao dosti kar len






More Sad Poetry

Ye to Khawab He Meri Aankh Ka

Ye to khawab he meri aankh ka jo haqiqaton me dhala nahin
Jo khayal me tha basa hua ,wohi chehra mujh ko mila nahin

Sar-e- shakh jitne gulab thay wo hawa ki shokhi se khil uthay
Main utar lun jisay jan me wohi guncha dil me khila nahin

Ye to mosamon ka mizaj he kabhe garm hekabhe sard he
Gham-e- jan ka he ye jo silsila subh-o- sham se ghata nahin

Suna, sheher bhar ka ye rog he khuli aankhen hont silay huay
Rahen barqarar sama'aten magar aese jese suna nahin

Rahi guftagu bari dair tak teri bazm-e- naz me ishq per
Hui bat jab bhe wafaon ki koi shama le ke utha nahin

Mujhe seema le ke chala koi jab suay falak to sada suni
Mata'-e- jan me he ghuroor sa tujhe kia mila pata nahin



More Sad Ghazals

Wednesday, July 14, 2010

Hum Khwabon Ke Beupari Thay

Hum khwabon ke beupari thay
Par is me hua nuqsan bara

Kuch bakht me dheron kalak thi
Kuch ab ke ghazab ka kal para

Hum rakh lye hen jholi me
Aur sar pe saahukar khara

Jab basti sehra sehra thi
Hum darya darya roye thay

Jab hath ki rekhaen chup theen
Aur sur sangeet me khoye thay

Tab hum ne jeevan kheti me
Kuch khawab anokhay boye thay

Jab fasal kati to kia dekha
Kuch dard ke tootay gajray thay

Kuch zakhmi khawab thay aankhon me
Kuch khaksitar se gajray thay


Click here for more sad poetry

Monday, July 12, 2010

WO KARVAAN JO GUZAR GAYE

wohi khizan ki rut me bahar sham, wo naye gulab ki dastaken
wo to khawab thay jo bichar gaye, wo naseeb saray kidhar gaye

wo bachpane ki theen shararten , wo jo rait jesi theen khawahishen
wo shararten, wo khawahishen, mah -o - sal- o- din me badal gaye

wo taveel raton ko jagna, wo kahaniyan naye nam ki masoom dil ki hasraten
wo umeed-e- milan wo umeed-e- sham wo mosam saray kidhar gaye

wo barishon me bheegna, wo dhoond lene ki khawahishen
wo hath hathon me dalna, wo sapnay saray bichar gaye

kabhi chupna pair ki aar me, wo kisi ke dhoond lene ki talab
na palat kr aaen ge kabhi ke wo karvaan jo guzar gaye





More Sad Ghazals

Khawab

jab mere pas thay tum
me ne kai bar ye socha , tum se
aankh me bikhre hue khawab ka ahwal kahun
kese kat,te hen mere roz-o-mah-o-saal kahun
faisle or amal me lekin
ak deewar jo sadiyon se khari he, me bhe
us me rozan he banane ki tag-o-du me raha
sa,i bekar tamanna ki qalam ro me raha
ab jo tum bichre ho to
din rat mere dil me ajab wehem sa rehta he
ke jese me ne
yun he ik khof ko deewar bna rakha tha
dil ko ik nukta-e- parkar bna rakha tha
sochta hun agar me ne kabhi
tum ko is khawab ka ahwal sunaya hota to bhala kia hota!
had se had tum meri baton se khafa ho jate

Posted in Sad Poetry
 

Saturday, July 10, 2010

koi bhe na hath milae ga jo galay milo ge tapak se
ye naye mizaj ka sheher he zara fasle se mila kro
abhe rah me kai mor hen koi aye ga koi jae ga
tumhe jis ne dil se bhula dia usay bhoolne ki dua kro
ye khizan ki zard shaul me, jo udaas per kr pas he
ye tumhare ghar ki bahar he isay aansuon se hara kro

Meri Mohabbat Bohot Ajeeb He

meri mohabbat bohat ajeeb he
koi hijr nhe koi wasl nhe
koi deed ka arman nhe
kisi kahi an kahi ka guman nhe
na chandni raton ko jagna
na din ko jalwaton me khoe rehna
na bekaran samandar he aankhon me
na izhar ke, na iqrar ke jhamelon me
meri mohabbat aesi he ke bas
tu jab nazar ajae to
teri ik nazar
mujh pe uthe ya na uthe
teri us nazar me bandh jana
teri khamoshi pe khatak jana
teri hansi me hans dena
teri tarap pe tarap jana
meri mohabbat bas aesi he

Main Darpan Dekh Ke Roya


main darpan dekh ke roya
jeevan ki is dor me, me ne
kia paya kia khoya
samay ke hathon par gaen mukh par
aesi gehri lakeeren
jese hazaron saal purane
dor ki hon tehreeren
pathrai bejaan si aankhen
chehra soya soya
me darpan dekh ke roya
ak pal ko pehchaan na paya
me apni he surat
makri ke jale me jese
qaid ho koi murat
rang-o- roop ke ujre pan me
man se khoya khoya
darpan dekh ke roya...


ye jo zeest ka safar he
ye jo rasta he mera
tum agar na sath do ge
to ye kis tarha kate ga
meri soch ki hadon me
ye guman bhe kese aye
koi pal bina tumhare
bhala kese beet jae
mere pas tum nahin ho
mere pas kab nahin ho
meri yad ke nagar me
mere khawab ke safar me
meri soch k tahon tak
meri aankh ke bhanwar me
mere dil me, jan me, tan me,
meri hasraton ke ban me
mere dil ki teergi me
meri shab ki roshni me
han tum he ho , har kahin ho
mere pas tum nahin ho
mere pas kab nahin ho
meri har dua ka mehwar
bas ik aarzoo tumhari
is aarzoo se aage
koi rasta nahin he
tumhe kis qadar he chaha
ye tumhe pata nahin he

na fikr-e- farda na yad-e- mazi
na chain dil ko na beqarari
na had se guzra hua junun wo
na bekali wo pehle jesi
bas ik udasi he dheemi dheemi
bas ik be nam si jalan he
bas ik be dard si thakan he
jo zindagi ke adhoore pan ko
hadon se aage barha rahe he