Mai udaas rasta hun sham ka,
Mujhe aahaton ki talash he
Ye sitarey sab hen bujhe bujhe
Mujhe jugnuon ki talash he
Wo jo ak drya tha aag ka
Bas raston se guzar gya
Hamen kab se rait k sheher me
Nai barishon ki talash he
More Sad Poetry
Saturday, June 26, 2010
Dheeray Dheeray
her shama bujhi rafta rafta, her khwab luta dheery dheery
sheesha na sahe patthar bhe na tha dil toot gya dheery dheery
barson me marasim bante hen lamhon me bhala kia tooten ge
tu mujh se bicharna chahe to deewar utha dheery dheery
ahsas hua barbadi ka jab sare ghar me dhool uri
aati he hamare aangan me pat jhar ki hawa dheery dheery
dil kese jala kis waqt jala hum ko bhe pta aakhir me chala
phela he dhuan chupke chupke sulgi he chita dheery dheery
wo haath praey ho bhe gaye ab door ka rishta he ghayaL
aati he meri tanhae me khushbo- e - hina dheery dheery
More Sad Ghazals

Main Ik Qatra, Kia Meri Auqat Samandar Mein
Main ik qatra ,kia meri auqat samandar men
Gum ho jaya karti he barsat samandar men
Aawazon ki bheer men main bhe kuch bola to tha
Yun lagta he doob gae he baat samandar men
Meri rooh me jo utar saken wo mohabbaten mujhe chahiyen
Jo sarab na hon jo azab na hon wo rafaqaten mujhe chahiyen
Un hi sa'aton ki talash he jo kelandaron se utar gaen
Jo smay k sath guzar gaen wohi fursaten mujhe chahiyen
Friday, June 25, 2010
Ajab Ghari Thi
Ajab ghari the
Kitab keecher me gir pari the
Chamakte lafzon ki meli aankhon me ulajhte aanso mujhe bula rhay thay
Magar mujhe hosh he kahan tha
Nazar me ik or jahan tha
Naye naye manzaron ki khawahish me apne manzar se kat gya hun
Naye naye daeron ki gardish me apne mehwer se hat gya hun
Umeed, imkan, be yakeeni hzaron me bat gya hun
Is se pehle k rat apni kamand dalay
Ye chahta hun ke laut aun
Ajab nahe wo kitab ab bhe wahen pari ho
Ajab nahe ab bhe meri rah dekhti ho
Chamakte lafzon ki meli aankhon me ulajhte aanso
Hawa-o- hirs-o- haws ki gard saaf kar den
Ajab nahe mere lafz mujh ko maaf kar den
Ajab ghari the
Kitab keecher me gir pari the
Click here for more Sad Poetry

Thursday, June 24, 2010
GHALAT FEHMI
YE MUMKIN HE HMARE DRMYAN KOI
GHALAT FEHMI BHE NA REHTI
JO APNE DIL ME CHOTI C
KHALISH HE KHATM HO JATI
BTA DETA K LOGON KI SABHE BATEN FASANE HEN
SABHE QISSY PURANE HEN
BTA DETA K MJH KO AJ BHE US KI ZARURAT HE
JO IS JEEVAN KA HASIL HE TO BAS US KI MOHABBAT HE
ME KEH DETA ZRA SI BAT PER YUN
RUTHNA ACHA NHE HOTA
MOHABBAT KRNE WALON ME
GHALAT FEHMI TO HO SAKTI HE PER JHAGRA NHE HOTA
ME HAR IK BAT KEH DETA
KHALISH BHE DOOR HO JATI
ME US KA HATH PAKRE YUN HE US KA HAM QADM REHTA
WO AAGEY HATH TO KARTA
WO MJH SE BAT TO KARTA

Posted in Sad Poetry
Subscribe to:
Posts (Atom)