Tuesday, July 27, 2010

ASAR HONAY TAK



Puch us qatray se ke lazzat-e-toofan kia he

Laakh toofanon se jo guzra gohar honay tak
Hum ne mana ke maqbool duaaen hon ge
Hum kahan hon ge duaaon ka asar honay tak ...


Click here for more Sad Poetry

Friday, July 23, 2010

ME MUQAIYAD HUN

Me muqaiyad hun ik aziat me
Or aziat bhi karb-e zaat ki he
Phr bhe chup chaap
Apnay ap me gum
Aati jati ruton ko dekhta hun
Kitnay mosam yun hi guzar ke bhe
Wohi aalam he heraton ka meri
Haan magar...
Gard-e- mah-o- saal ke beech
Baarha ik surat-e-shahkar
Pa ba-e- zanjeer mujh talak aayi
Or sargoshion me keh gai
Aalam-e-zaat se nikal ker dekh
Yahan her shay kisi azaab me he...


Click here for more Sad Poetry

JANUARY KI SHAM

January kitni shamen aaeen
Aa kar beet gaeen...

Dil ne koi aahat
Koi dastak mehsoos na ki...

Lekin itnay barson baad
Aaj ki sham me janay kia he...

Daaen aankh ka dayan kona
Bheeg gaya he...


Click here for more Sad Poetry

Kabhi Kabhi Koi Yad


Kabhi kabhi koi yad

koi boht purani yad...
dil ke darwazay per
aesay dastak deti he...
sham ko jesay taara niklay
subah ko jese phool..
jesay zameen per dheeray dheeray
roshnion ka nazool
jesay rotay rotay achanak hans de koi malool
kabhi kabhi koi yad, koi boht purani yad
dil ke darwazay per, aesay dastak deti he...


Click here for more Sad Poetry

BADALTE HUE MOSAM KI SADAEN


aati hen adalte hue mosam ki sadaen
deta he koi umr-e- guzashta ko sadaen
laut aye hen nikhre hue din, chandni raten
kis dais se ay dost! tujhe dhoond laen


me ye kehta hun, her rukh se basar ki zindagi
zindagi kehti he her pehlu adhoora reh gaya
sirf itni he muzaffar apni rudaad -e- hayat
me zamanay ko, zamana mujh ko takta reh gaya



Click here for more sad poetry

Friday, July 16, 2010

ABR-E- GUREZAN


tum abr-e- gurezan ho main sehra ki tarha hun
do boond jo barso ge bekar me barso ge
he khushk boht mitti her simt bagulay hen
sehra ke bagulon se uthtay he to sho'lay hen
tum khul ke agar barso sehra me gulistan ho
per tum se kahen kese tum abr-e- gurezan ho


jal thal jo agar kar do tan man me nami bhar do
he khushk boht mitti puri jo kami kar do
phir tum ko btaen ge ke rooh me pinhan ho
per tum se kahen kese tum abr-e- gurezan ho


Click here for more sad poetry

January Ki Sard Sham Me

january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen
un pairon se apne aur tumhare babt
wo baten puchne
jo tum meray sang chalte kehte thay
un lamhon me piroay khawab saray
azaab ban kar barse hen
belibaas dil he mera
aur bejaan wujood

january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen
laga kar galay un lamhon ko
aaj bhe rastay taktay hen
un raston per na ao gay kabhi
maaloom he hum ko bhe
magar is dil se maat hum
har bar he khatay hen
january ki sard sham me
hum aaj bhe jate hen

Mohabbat Jab Lahu Ban Kar Ragon Mey Sarsaraey To, Koi Boola Hua Chehra!!

mohabbat jab lahu ban kar
ragon me sarsaraey to
koi bhoola hua chehra
achanak yad aye to
qadam mushkil se uthtay hen
irada dagmagay to
koi maddham se lehjay me
tumhe wapis bulae to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he
kabhi tanhaion ka dard
aankhon me samaay to
koi lamha guzashta chahaton ka
jab sataey to
kisi ki yad me rona
tumhen bhe khoon rulaay to
agar tum se tumhara dill
achanak rooth jaey to
kabhi anhonion ka dar
parindon ko uraey to
hawa jab per se ik zard sa
patta giraey to
theher jana
samajh lena
ke ab wapis palatne ka amal aaghaz hota he


Click here for more sad poetry

AAO DOSTI KAR LEN


mustaqil is jahan me hum bhe nahin
mustaqil is jahan me tum bhe nahin
na musarrat he mustaqil he yahan
mustaqil is jahan me gham bhe nahin

phir adavat he kiun mustaqil ho
aao kuch is tarah na kar dekhen
in andheron me roshni kar len
aao dosti kar len , aao dosti kar len






More Sad Poetry

Ye to Khawab He Meri Aankh Ka

Ye to khawab he meri aankh ka jo haqiqaton me dhala nahin
Jo khayal me tha basa hua ,wohi chehra mujh ko mila nahin

Sar-e- shakh jitne gulab thay wo hawa ki shokhi se khil uthay
Main utar lun jisay jan me wohi guncha dil me khila nahin

Ye to mosamon ka mizaj he kabhe garm hekabhe sard he
Gham-e- jan ka he ye jo silsila subh-o- sham se ghata nahin

Suna, sheher bhar ka ye rog he khuli aankhen hont silay huay
Rahen barqarar sama'aten magar aese jese suna nahin

Rahi guftagu bari dair tak teri bazm-e- naz me ishq per
Hui bat jab bhe wafaon ki koi shama le ke utha nahin

Mujhe seema le ke chala koi jab suay falak to sada suni
Mata'-e- jan me he ghuroor sa tujhe kia mila pata nahin



More Sad Ghazals

Wednesday, July 14, 2010

Hum Khwabon Ke Beupari Thay

Hum khwabon ke beupari thay
Par is me hua nuqsan bara

Kuch bakht me dheron kalak thi
Kuch ab ke ghazab ka kal para

Hum rakh lye hen jholi me
Aur sar pe saahukar khara

Jab basti sehra sehra thi
Hum darya darya roye thay

Jab hath ki rekhaen chup theen
Aur sur sangeet me khoye thay

Tab hum ne jeevan kheti me
Kuch khawab anokhay boye thay

Jab fasal kati to kia dekha
Kuch dard ke tootay gajray thay

Kuch zakhmi khawab thay aankhon me
Kuch khaksitar se gajray thay


Click here for more sad poetry

Monday, July 12, 2010

WO KARVAAN JO GUZAR GAYE

wohi khizan ki rut me bahar sham, wo naye gulab ki dastaken
wo to khawab thay jo bichar gaye, wo naseeb saray kidhar gaye

wo bachpane ki theen shararten , wo jo rait jesi theen khawahishen
wo shararten, wo khawahishen, mah -o - sal- o- din me badal gaye

wo taveel raton ko jagna, wo kahaniyan naye nam ki masoom dil ki hasraten
wo umeed-e- milan wo umeed-e- sham wo mosam saray kidhar gaye

wo barishon me bheegna, wo dhoond lene ki khawahishen
wo hath hathon me dalna, wo sapnay saray bichar gaye

kabhi chupna pair ki aar me, wo kisi ke dhoond lene ki talab
na palat kr aaen ge kabhi ke wo karvaan jo guzar gaye





More Sad Ghazals

Khawab

jab mere pas thay tum
me ne kai bar ye socha , tum se
aankh me bikhre hue khawab ka ahwal kahun
kese kat,te hen mere roz-o-mah-o-saal kahun
faisle or amal me lekin
ak deewar jo sadiyon se khari he, me bhe
us me rozan he banane ki tag-o-du me raha
sa,i bekar tamanna ki qalam ro me raha
ab jo tum bichre ho to
din rat mere dil me ajab wehem sa rehta he
ke jese me ne
yun he ik khof ko deewar bna rakha tha
dil ko ik nukta-e- parkar bna rakha tha
sochta hun agar me ne kabhi
tum ko is khawab ka ahwal sunaya hota to bhala kia hota!
had se had tum meri baton se khafa ho jate

Posted in Sad Poetry
 

Saturday, July 10, 2010

koi bhe na hath milae ga jo galay milo ge tapak se
ye naye mizaj ka sheher he zara fasle se mila kro
abhe rah me kai mor hen koi aye ga koi jae ga
tumhe jis ne dil se bhula dia usay bhoolne ki dua kro
ye khizan ki zard shaul me, jo udaas per kr pas he
ye tumhare ghar ki bahar he isay aansuon se hara kro

Meri Mohabbat Bohot Ajeeb He

meri mohabbat bohat ajeeb he
koi hijr nhe koi wasl nhe
koi deed ka arman nhe
kisi kahi an kahi ka guman nhe
na chandni raton ko jagna
na din ko jalwaton me khoe rehna
na bekaran samandar he aankhon me
na izhar ke, na iqrar ke jhamelon me
meri mohabbat aesi he ke bas
tu jab nazar ajae to
teri ik nazar
mujh pe uthe ya na uthe
teri us nazar me bandh jana
teri khamoshi pe khatak jana
teri hansi me hans dena
teri tarap pe tarap jana
meri mohabbat bas aesi he

Main Darpan Dekh Ke Roya


main darpan dekh ke roya
jeevan ki is dor me, me ne
kia paya kia khoya
samay ke hathon par gaen mukh par
aesi gehri lakeeren
jese hazaron saal purane
dor ki hon tehreeren
pathrai bejaan si aankhen
chehra soya soya
me darpan dekh ke roya
ak pal ko pehchaan na paya
me apni he surat
makri ke jale me jese
qaid ho koi murat
rang-o- roop ke ujre pan me
man se khoya khoya
darpan dekh ke roya...


ye jo zeest ka safar he
ye jo rasta he mera
tum agar na sath do ge
to ye kis tarha kate ga
meri soch ki hadon me
ye guman bhe kese aye
koi pal bina tumhare
bhala kese beet jae
mere pas tum nahin ho
mere pas kab nahin ho
meri yad ke nagar me
mere khawab ke safar me
meri soch k tahon tak
meri aankh ke bhanwar me
mere dil me, jan me, tan me,
meri hasraton ke ban me
mere dil ki teergi me
meri shab ki roshni me
han tum he ho , har kahin ho
mere pas tum nahin ho
mere pas kab nahin ho
meri har dua ka mehwar
bas ik aarzoo tumhari
is aarzoo se aage
koi rasta nahin he
tumhe kis qadar he chaha
ye tumhe pata nahin he

na fikr-e- farda na yad-e- mazi
na chain dil ko na beqarari
na had se guzra hua junun wo
na bekali wo pehle jesi
bas ik udasi he dheemi dheemi
bas ik be nam si jalan he
bas ik be dard si thakan he
jo zindagi ke adhoore pan ko
hadon se aage barha rahe he

Ab Na Aese Milen Ge

Ab na aese milen ge hum kabhe kisi mor per tum sochna
Aur tere ye lafz phool hen ke patthar tum sochna

Judai se bhe kara ik fesla us ne kia
Hum roz milen ge magar ajnabi ban kar tum sochna

Halaat se farar ka ye bhe ak tariqa tha
Meri wo chup jabr tha ke sabr tum sochna




More Poetry SMS

kaho ab kia kahun tum se

kaho ab kia kahun tum se
btao kia likhun tum ko
mujhe tamhid do koi, mujhe umeed do koi
naya ik lagz ho koi
jahan se bat chal nikle, meri mushkil ka hal nikle
btao lehja kesa ho
ke tum se bat karni he
mujhe thora ujala do, basr ik rat karni he
tum apni roshan aankhon ko
agar kholo to me likhun
tumhare lab se aye ga sukhan me ik kateela pan
tumhari aankh de de gi takhatub ko nasheela pan
kaho ab kia irada he
mujhe izhar karna he
ke betabi ziada he

Saturday, July 3, 2010

Mujhe Koi Sham Udhar Do

Tumhen jab kabhe milen fursaten mere dil se bojh utar do
Main bohat dinon se udas hun mujhe koi sham udhar do

Mujhe apne roop ki dhoop do k chamak saken mere khad -o- khal
Mujhe apne rang mein rang do mere saray zang utar do
 
Kisi or ko mere haal se na gharz he na wasta
Main bikhar gaya hun smait lo, main bigar gaya hun sanwar lo
 
Tumhen subha kesi lagi meri khwahishon ke dayar ki
Jo bhali lagi to yahin raho isay chahaton se nikhar do


raston ki marzi he

be zamen logon ko
be qarar aankhon ko
bad naseeb qadmon ko
jis taraf bhe le jaen
raston ki marzi he
be nishan jaziron per
bad guman shehron mein
be zuban musafir ko
jis taraf bhe bhatka den
raston ki marzi he
rok len ya barhne den
tham len ya girne den
wasl ki lakeeron ko
tor den ya milne den
raston ki marzi he