Sunday, October 20, 2013

Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha!!!

Dushman Meri Khushhiyon Ka Zamaana Hi Nahi Tha
Tum Ne Bhi Kabhi Apna Tou Jana Hi Nahi Tha

Kiya Karte Akele Mei Saja Kar Koi Mehfil!
Jab Saath Mera Kisi Ne Nibhana Hi Nahi Tha

Dil Ne Tou Bohot Chahaa Magar Kis Tarha Jeetay
Jeenay Ke Liye Koi Bahana Hi Nahi Tha

Murr Murr Ke Dekhtey Rahey Hum Umr Bhar Magar
Tum Aaye Nahin KiunKe Tum Ko Tou Anaa Hi Nahi Tha

Ab Jhuk Ke Meri Laash Ko Jhin Jhoor Rahay Ho
Jesay Teri Dunya Se Mujhay Kabhi Jana Hi Nahi Tha


Also read: Khamoshi Urdu Poetry

Saturday, October 12, 2013

Har Zarra e Ummid Se Khushboo Nikal Aaye!

Har Zarra e Ummid Se Khushboo Nikal Aaye
Tanhaai Ke Sehra Mei Agar Too Nikal Aaye

Kaisa Lagey Iss Baar Agar Mousam e Gull Mei
Titli Ka Badan Orrh Ke Jugnoo Nikal Aaye

Phir Dinn Teri Yaado Ki Munderon Pe Guzra
Phir Shaam Hui Aaankh Se Aansu Nikal Aaye

Be Chen Kiye Rehta Hai Dharka Yahi Jee Ko
Tujh Mei Na Zamaney Ki Koi Khoo Nikal Aaye

Phir Dil Ne Kiya Tark e Taalluk Ka Iraada
Phir Tujh Se Mulaakat Ke Pehloo Nikal Aaye


May you like:
Mai Udaas Rasta Hoon Shaam Ka

Wednesday, October 2, 2013

Usse Hum Bhool Jatey Han! - Bhula Dena Poetry

Baaz Ajao Taghaful Sey Warna Ahl e Dil Aksar
Jise Bhool Jate Han, Osey Bass Bhool Jate Han!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

Abhi Masroof Hoon Kaafi,
Kabhi Fursat Main Sochun Ga!!

Ke Tujh Ko Yaad Rakhney Mei,
Mai Kia Kia Bhool Betha Hoon!!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Yaar Ab Mujhey Bhool Jao Tou Behter Hai

Mai Ab Kisi Ko Kho Nahin Sakta!!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Yehi Dastoor Hay Apna, Zabardasti Nahin Kartey!

Jo Thoraa Hatt Ke Milta Hay, Usse Hum Bhool Jatey Han!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Bikhri Ret Pr Kis Naqsh Ko Abaad Rakhay Ga!

Woh Mujh Ko Yaad Rakhh Kr Bhi Kitna Yad Rakhay Ga!

Usse Bunyaad Rakhhni Hai Abhi Dil Mei Mohabbat Ki,

Magar Yeh Sang Seeney Pr Woh Mere Baad Rakhay Ga!

Palat Kr Bhi Nahi Dekhi Teri Yeh Be Rukhhi Hum Ne!

Bhula Denge Tujhay Aesa Ke Tu Bhi Yaad Rakhay Ga..!


~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~


Ab Merey Ashk e Mohabbat Bhi Naheen Ap Ko Yaad!

Ap To Apney Hi Daman Ki Nami Bhool Gaye!

~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~