Pata Pata, Boota Boota, Haal Hamara Janey Hay
Janey Na Janey, Gul Hi Na Janey, Bagh To Sara Janey Hay
Aashiq Sa To Saada Koi Or Na Ho Ga Duniya Mei
Jee Ke Zian Ko Ishq Mei Uskey Apna Waara Janey Hay
Chara Gari Bemari-e-Dil Ki Rasm e Shehr e Hussn Nahi
Warna Dilber e Nadaan Bhi Iss Dard Ka Chaara Janey Hay
Meher-o-Wafa-o-Lutf-o-Inaayat, Eik Se Waqif In Mei Nahi
Or To Sab Kuch Tanz-o-Kinaya, Rams-o-Ishaara Janey Hay
Aashiq To Murda Hay Hamesha Uth'ta Hay Dekhe Se Usey
Yaar Ke Ajaane Ko Yakaayak, Umr Dubaraa Janey Hay
Tashna-e-Khoon Hay Apna Kitna, Mir Bhi Nadaan Talkhi Kash
Damdaar Aab-e-Tegh Ko Uskey, Aabe-e-Gawara Janey Hay
More in urdu ghazals
No comments:
Post a Comment