Abar-e-Baraan K Iraade Bhi Pur Israar Se Hain
Aaj Barse Gi Ghata khul K Ye Aasaar Se Hain,
Loog Aatey Hain Thehartay Hain Chaley Jatay hain
Apne Halaat Bhi Ujrae Hue Bazaar Se Hain,
Wo Agar Chahe To De Sharf-e-Mulaqaat Mujhe
Sab Umeeden Meri Wabasta, Mere Yaar Se Hain,
Ye Zarori To Nahi Jeet Mus'sarat Bakhshe
Aasi Khushiyan Bhi Hain, Milti Jo faqat Haar Se Hain,
Sar Ba-Kuf Ho Ke Tere Koochy Ko Chal Nikla Hon
Azam To Pakke Magar Raste Dushwar Se Hain.

No comments:
Post a Comment