Labon pe Phool khilte hai kisi ke Naam se pehle
Dilo ke Deep jalte hai Chiragh-e-Shaam se pehle,
Kabhi Manzar badalne par bhi kissa chal nahi pata
Kahani khatam hoti hai kabhi Anjaam se pehle,
Ye hi Taare Tumhaari Aankh ki Chilman mein rehte the
Ye hi Suraj nikalta tha Tumhare Baam se pehle,
Hui hai Shaam Jangle mein Parinde laut-te honge
Ab inko kis tarah roke Nawaah-e-Daam se pehle,
Ye saare Rang Murdaa the Tumhaari Shakl banne tak
Ye Saare Harf Muhmal the Tumhaare Naam se pehle,
Hua hai wo agar Munsif to Ahtiyatan Hum
Saza Tasleem karte hai kisi Ilzam se pahle.
No comments:
Post a Comment