Masoom mohabbat ka bus itna fasana hai
Kagaz ki haveli hai,Baarish ka zamaana hai
Kya shart-e-mohabbat hai,Kya shart-e-zamaana hai
Awaz bhi zakhmi hai aur Gaana bhi gaana hai
Uss par utarne ki Umeed bahut kam hai
Kashti bhi purani hai,Tufaan ko bhi aana hai
Samjhe ya na samjhe wo Andaaz mohabbat ke
Ek shaks ko aankho se Ek sher sunana hai
Bholi si ada,Koi fir ishq ki zid par hai
Fir aag ka dariya hai AUR doob ke jaana hai
Doob ke jaana hai.
No comments:
Post a Comment